Sapno Ki Manjil Love Story In Hindi
Sapno Ki Manjil Love Story- Nisha
May 22, 2024
Zindagi ek anokhi kitab hai jisme har pal naye rango me rang bharne ka muka milata hai ye kahani meri zindgi ki hai jisme pyar umeed or sangharsh ka safar bataya gya hai.
Mera naam nisha hai me ek aam si ladki hu jiski zindagi me kuch khas pal aaye or chale Gaye meri kahani suru hoti hai ek chhote se ganv me Jahan har subah ki tarah me bhi apne sapno ke sath udaan bharne ki khwahish rakhti thi.
Mere ghar me mummy papa or do Bhai the hamre Parivar me pram or samajh ka mahol tha . Mummy ne pyar Diya or papa ki muskurahat ne hamesha mujhe himmat di hai. Bachpan se hi mene dekha hai ki mummy -papa ki ek alag pahchan hoti hai, jo zindagi bhar sath nibhate hai.
Zindagi ke kuch pal ese hote hai Jo hame hamesha yaad rahte hai. Mere liye ek esa pal tha jab mene use pahli bar dekha. Uska naam mahesh tha who mere ganv ke paas rahta tha or meri hi age ka tha hum dono bachapan ke dost the lekin kuch saalo bad dosti me ek nai dhadkan mehsus hone lagi .
Hum dono ek dusre ke Kareeb aane lage . Har mulakat har bat dil ko chhu jati thi . Pyar ka ehsaas dono me ho chuka tha lekin hamne kabhi apne Dil ki baat kahne ki himmat nahi ki shayad hum darte the ki Kiya hoga agar hamare pyar ka ijahar nakam ho gya to.
Par fir ek din zindagi ne hamre beech esa Diya jahan hamne apni Dil ki baat kahne ka sahas mila ek sham jab samunder ke kinare ghumte huye mene apne Dil ki baat usse kah di or Mahesh ne bhi apne Dil ki bat kah di . Us pal samunder ki laharo ne hamare pyar ki gawa hi di.
Jese hi hum soch rahe the ki hamari zindagi ek nai raah par chalne wali hai zindagi ne ek nai chunoti di hamare parivar ne hamare pyar ko svikar nahi Kiya unhe lagta tha ki hum abhi bahut chhote hai pyar ko samjhne ke liye or hame apne career par dhyan Dena chahiye.
Ye sangharsh ki raat thi jab hamne ek dusare ko haath tham kar apne sapno ki or badhne ka fasla Kiya hamne decide Kiya ki hum ek dusre ka sath nahi chhodenge har muskil ko sath nibhayenge. Ye fasla hamare liye muskil tha par hame apne pyar par pura bharosa tha.
Hamne sath milakar apne sapno ke liye ladna suru Kiya har muskil ko hum apni himmat or umeed se paar Kiya kabhi - kabhi lagta tha sab kuch haar gye hai
Or fir sochte the ki zindagi ka safar kabhi sidha nahi hota . Hamne bhi bahut kosis ki lekin kuch nahi kar pa rhe the .mahesh ke sapne or meri umeedon ki dunia me kabhi kabhi lagta tha ki ham haar gye hai.
Lekin hamne himmat nahi haari har nye din ke sath hum fir se apni koshish ko nye Josh ke sath shuru karte . Zindagi ne hame asfalta ka samna karya . Par hamne kabhi himmat nahi haari haar ke baad hum fir se uth khade huye or apne sapno ki or badhne ka fasla Kiya.
Aj jab me apne kadhe par apne pyar ka saath mahsus karti hu . Mujhe garv hota hai apne pyar par apne sapno par or apne ap par . Hamne sangharsh or umeed ke saath apna Safar Tay Kiya or aj ham yahan hai apne sapno ke najdik.
Zindagi ne hme bahut kuch sikhaya hai pyar ka matalab samjha or bharosa hamne dekha hai ki jab dil me vishvas hota hai toh koi bhi muskil aasan ho jati hai . Har muskil ka samna karke hamne apne pyar ko or gehra banaya hai.
To dosto ye thi meri zindagi ki kahani ek pram kahani ko kabhi khatam nahi hoti zindgi ka safar kabhi bhi aasani se nahi hota or jab pyar or himmat hoti hai to koi bhi muskil aasan ho jaati hai or ap bhi apne sapno ki or badhte hai
Thank you
Comments
Post a Comment